Sunday, July 30, 2023
Heart Touching Urdu Ghazal Poetry By Gulzar
ہاتھ چھوٹیں بھی تو رشتے نہیں چھوڑا کرتے
وقت کی شاخ سے لمحے نہیں توڑا کرتے
جس کی آواز میں سلوٹ ہو نگاہوں میں شکن
ایسی تصویر کے ٹکڑے نہیں جوڑا کرتے
لگ کے ساحل سے جو بہتا ہے اسے بہنے دو
ایسے دریا کا کبھی رخ نہیں موڑا کرتے
جاگنے پر بھی نہیں آنکھ سے گرتیں کرچیں
اس طرح خوابوں سے آنکھیں نہیں پھوڑا کرتے
شہد جینے کا ملا کرتا ہے تھوڑا تھوڑا
جانے والوں کے لیے دل نہیں تھوڑا کرتے
جا کے کہسار سے سر مارو کہ آواز تو ہو
خستہ دیواروں سے ماتھا نہیں پھوڑا کرتے
hath chhuten bhi to rishte nahin chhoda karte
waqt ki shakh se lamhe nahin toda karte
jis ki aawaz mein silwat ho nigahon mein shikan
aisi taswir ke Tukde nahin joda karte
lag ke sahil se jo bahta hai use bahne do
aise dariya ka kabhi rukh nahin moda karte
jagne par bhi nahin ankh se girtin kirchen
is tarah khwabon se aankhen nahin phoda karte
shahd jine ka mila karta hai thoda thoda
jaane walon ke liye dil nahin thoda karte
ja ke kohsar se sar maro ki aawaz to ho
khasta diwaron se matha nahin phoda karte
for more urdu poetry click here
Tags
# Gulzar Ghazals

About Urdu Poetry Short
alistarbot is a blogger resources site is a provider of high quality blogger template with premium looking layout and robust design. The main mission of templatesyard is to provide the best quality blogger templates.
Gulzar Ghazals
Labels:
Gulzar Ghazals
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Urdu Ghazals Urdu Poetry Shairy in Urdu Faiziwrite gulzar ghazals
Urdu Ghazals Urdu Poetry Shairy in Urdu Faiziwrite gulzar ghazals خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں ایک پرانا خ...

No comments:
Post a Comment