Saturday, July 29, 2023
Urdu Shayari By Gulzar
پیڑ کے پتوں میں ہلچل ہے خبردار سے ہیں
شام سے تیز ہوا چلنے کے آثار سے ہیں
ناخدا دیکھ رہا ہے کہ میں گرداب میں ہوں
اور جو پل پہ کھڑے لوگ ہیں اخبار سے ہیں
چڑھتے سیلاب میں ساحل نے تو منہ ڈھانپ لیا
لوگ پانی کا کفن لینے کو تیار سے ہیں
کل تواریخ میں دفنائے گئے تھے جو لوگ
ان کے سائے ابھی دروازوں پہ بیدار سے ہیں
وقت کے تیر تو سینے پہ سنبھالے ہم نے
اور جو نیل پڑے ہیں تری گفتار سے ہیں
روح سے چھیلے ہوئے جسم جہاں بکتے ہیں
ہم کو بھی بیچ دے ہم بھی اسی بازار سے ہیں
جب سے وہ اہل سیاست میں ہوئے ہیں شامل
کچھ عدو کے ہیں تو کچھ میرے طرف دار سے ہیں
ped ke patton mein halchal hai khabar-dar se hain
sham se tez hawa chalne ke asar se hain
nakhuda dekh raha hai ki main girdab mein hun
aur jo pul pe khade log hain akhbar se hain
chadhte sailab mein sahil ne to munh dhanp liya
log pani ka kafan lene ko tayyar se hain
kal tawarikh mein dafnae gae the jo log
un ke sae abhi darwazon pe bedar se hain
waqt ke tir to sine pe sambhaale hum ne
aur jo nil pade hain teri guftar se hain
ruh se chhile hue jism jahan bikte hain
hum ko bhi bech de hum bhi usi bazar se hain
jab se wo ahl-e-siyasat mein hue hain shamil
kuchh adu ke hain to kuchh mere taraf-dar se hain
Tags
# Gulzar Ghazals

About Urdu Poetry Short
alistarbot is a blogger resources site is a provider of high quality blogger template with premium looking layout and robust design. The main mission of templatesyard is to provide the best quality blogger templates.
Gulzar Ghazals
Labels:
Gulzar Ghazals
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Urdu Ghazals Urdu Poetry Shairy in Urdu Faiziwrite gulzar ghazals
Urdu Ghazals Urdu Poetry Shairy in Urdu Faiziwrite gulzar ghazals خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں ایک پرانا خ...

No comments:
Post a Comment